AYE KAASH KE AB HOSH MEIN HUM AANE NA PAAYE!!!!!!
- Sanam!!!!
- Jan 17, 2020
- 1 min read
Zindagi Ki Talash Mein Jab Insaan Nikalta Hai Tab Na Jaane Kya Kya Jatan Karta Hai
Us Zindagi Me Kuch Khushiyon Ke Liye, Na Jaane Kya Kya Jatan Karta Hai Woh Us Zindagi Mein Thoda Sa Pyaar Thoda Sa Sukoon Paane Ke liye
Lekin Har Insaan Kamyaab Nahi Hota, Kisi Ko Khushiyan Bin Mange Hi Mil Jaati Hai,
Bas Aa Tapakti Hai Unki Jholi Mein, Aur Koi Hai Ke Bas Tarasta Hi Raheta Hai Aur Saari Umr Koshish Mein Laga Raheta Hai ,
Lekin Aati Hai Uske Haath To Sirf Tanhai, Bebasi , Akelapan,
Aur Who Insaan Phir Us Uparwale Se Shikayat Karne Lagta
Ke Kyun Banaye Meri Kismat Aisi? Kya Main Hi Mila Tha Tujhe, Jisko Tune Bas Saari Umr Kisi Ke
Pyaar Se , Kisi Ki Mohabbat Se Door Rakhna Hai?.
Kya Gunaah Kia Hai Maine Ki Jo Thodi SA PYaar Aur Apnapan Paane Ki Chahat Mein Saari Zindagi Guzaar Di Aur Haath Kya Aaya Kuch Nahi?
Woh ZinDagi Ka Safar Jiski Koi Manzil Nazar Nahi Aati …
Lekin Shikayat Karke Bhi Kya Kisi Ki Kismat Badli Hai, Isiye To Kahete Hain Ki
“Hatthon Ki Chand Lakeeron Ka , Yeh Khel Hai Sab Taqdeeron Ka…..
Aur Taqdeer Likhne Wala Wahan Upar Baitha Hai,
Usne Jo Likh Dia So Likh Dia, Ab Usko Koi Badal Nahi Sakta…………..
To Bas Jeeyo Inhi Hathon Ki Lakeeron Ke Satth , Isi Kismat Je Saath
Kyunki ….. Dar Ba Dar Sar Patakne Se Bhala Kya Hoga , Wohi Hoga Jo Taqdeer Mein Likha Hoga….

Zindagī Yuuñ Huī Basar Tanhā
Qāfila Saath Aur Safar Tanhā
コメント